Friday, October 1, 2010

SIR E TAAQ JAAN NA CHARAG HA,PAS E BAAM SHAB NA SEHIR KOI

Sar-e-taak-e-jaan na chiraag hai,pas-e-baam-e-shab na sahar koi
Ajab aik arsa-e-dard hai,na gumaan haina koi khabar 

Nahi ab tou koi malaal bhi, kisi wapsi ka khyal bhi
Gham-e-bekasi ne mita diya meray dil main tha bhi agar koi
Tujhe kya khabar hai k raat bhar,
Raha sath chaand kay muntazir,teri khirkion se koi
Sar-e-shaakh-e-jaan teray naam ka,ajab aik taaza gulab tha
Jisay aandhion se khatr na tha,jisy tha khizaan ka na dar koi
Teri berukhikay diyaar mai,ghani tergi kay hisaar main
Jalay kis tarah se chiraagh-e-jaan,karay kis taraf ko safar koi
Katay waqt chahay azaab main,kisi khawab main yasaraab main
Jo nazar se door nikal gaya,usay yaad karta hai har koi
Sar-e-bazm jitnay chiraag thay,wo tamam ramz shanaas thay
Teri chshm-e-khush kay lihaaz say nahi bolta tha magar koi
BY AMJAD ISLAM AMJAD

No comments:

Post a Comment