Thursday, October 28, 2010

Agar Kacha Ghara Hu Tu Kinara Mil Nahi Sakta

Kahani aaj muddat baad
Meri unglion ki naram poron par ruki aur yun hui goya
Agar kacha ghara ho tou kinara mil nahi skta

Skhi!tu sohni thi..sohni ko0 dhoob jana tha
Mohabbat do jazeeron par khari hairan khushbu hai
Milan us main nahi hota
Hum is khushbu ko barh k choo nahi sktay
Skhi tu aagahi wali hai
Jazbon tu qaid ban gai kaisay..? 
Kaha main ne
Boht chaha k bch nikloon
Magar main bch nahi pai
Mohabbat aik daldal ki tarah chaaron taraf mujh ko dikhai di
Wo daldal phailti hi ja rahi thi meri har janib
Yahan tak k meri aankhain b is ne cheen leen muj se
Zara socho agar mai bch bhi jati tou kahan jati
Qadam main ne uthaya aur phir mur kar nahi daikha
Mohabbat main ne kab ki,ye tou sarzad ho gai muj se
Mussalat ki gai muj par
Khani soch kar boli
Mukadar ki nafi karna kahan aasan hota hai
Skhi!tou sohni thi..sohini ko dhoob jana tha
agar kacha ghara hua tou kinara mil nahi sakta

2 comments: