Saturday, October 23, 2010

BARISH THI,HUM THE AUR GHANI HO RAHI THI SHAAM

Baarish thi ,hum thay aur ghani ho rahi thi shaam
Yunhi kisi darakht k neechay kharay rahain
Tum nay lia tha kaanptay honton se mera naam

Baarish k dair baad bhi liptay kharay hain
Main nay kaha tha "ao yunhi bheegtay chalain
Tum ne kaha tha,"Ao chalain raat gai
In raaston mai dair tak ghoomtay rahain
Dil jis se dar raha tha,wohi baat a gai
Meri kamar main hath ye phoolon sa daal kar
Beetay samay ki yad hi rston mai reh na jai
Baarish aur hum
Kaandhay pe meray rakhay raho yun hi apna sar
ye dil kahin visaal ki baarish main na beh jai"
Hathon ko main kabhi, kabhi baalon ko choom lu
kuch dair ab chup si rahi darmiaan main
Dekho meri tarf tou main aankhon ko choom lu
Girhain si jaisay parnay lagi hon zubaan main
Pani k ye jo phool hain rukh par khilay huay
Yak dum gira tha phool koi shaakhsaar se
In main danak k rung hain saaray gulay huay
Daikha tha tum ne meri taraf iztarar se
Honton se in ko chuntay rahain khush dili k sath
Baarish main bheegtay huay jhonkay hawa k thay
Taaray hamain talaash karain, chaandni k sath
Wo chnd begumaan se lamhay, blaa k thay
Nasha sa tha aik chaaron tarf phailta gya
Phir us k baad main tumhain kuch nahi kaha

No comments:

Post a Comment