By Sohail Anwar. Please send your designed poetry at sohailanwar2050@gmail.com to publish.
Monday, October 18, 2010
CHOR KAR TUJ KO,BATA DEY KAHAN JAON MAIN
Choor kar tujh ko bataa de k kahan jaooun mein
Kab talak doost wafa apni nibhaa paoun mein,
Rakh k sar shana-e-agyaar pe to hansta hai,
Is izziyaat pe do Ansoo na bahaa paoun mein,
Apnee atraaf mein jub daikhta houn saanp chupee,
Khud ko in sanpoun se ab, kaisee bachaa paoun mein
Yaad aati hai teri aur rulaa jati hai,
Is gam-e-haal mein bhi kehtee ho muskaoun mein,
Ho gaya daman ter khoon k ristee risteee
Aur Tum kehtee ho zekhmoun ko chupaa laoun mein
Peeth peeche jo howee war wo apnoun ne kiyeee,
Kis se afsana kahoun, Khud ko rulaa paoun mein
by FALAK, from "ISHQ BINA BE HAL HUA"
Labels:
Falak Sher Zaman
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment