Tuesday, October 26, 2010

Mohabbat Jata Kar Main Pachta Raha Hon


***Ghazal***
Muhababt Jata kar mein pachta raha houn,
Tumhein dard apna mein batlaa raha houn,

Safar per mein nikla houn jaan be irada,
Na janee bikharta mein kyn ja raha houn

Koi thaam le aa k ab haath mera, 
Mein kab se khasara hi bus khaa raha houn

Na din ki khabar hai na ghar ka pata hai
Chupaee koi baat mein jaa raha houn, 

Na Das leein shab-e-hijr ki khoone ratein,
Diya ban k tanhaa jalaa ja raha houn

Sitam gar ha yan be wafa ha Falak wo,
Samaj kar mein kyn moom pighla raha houn

by Falak from "ISHQ BINA BEHAL HUA"

No comments:

Post a Comment