Thursday, October 21, 2010

Dil pe jo daag laga hai wo mitaaen kaisee


***Ghazal***
Dil pe jo daag laga hai wo mitaaen kaisee,
Sub ko aata hai nazar, is ko chupaien kaisee,


Dil k roota hai mera, Sham-o-Sehar Zaro qatar
Be wafa shakhs ki ye yaad bhulaien kaisee,

Dil ko behlaoun k hum yaro karein fikre-e-muaash
Ranj-o-Alam se hum jaan churaien kiasee

REza reza hein magar taan rakhi hai gardan,
Raat jo hum pe guzarti hai btaien kaisee

Beh gaee yaad mein sub boojh ko halka kartee
Sochtee rehte hein hum ashk bahaien kaiseee

Zehm bharta hi nahi Zarb lgaien dil per,
Karchian toote howee dil ki uthaien kaiseee

Apnee hathoun se lagi aag mein jaltee hein Falak,
Mernee walee hein sissak kr yeh bhujaien kaisee
by Falak, from "ISHQ BINA BE HAL HUA"

No comments:

Post a Comment