Monday, February 11, 2013

Mohabat ki tabiyat mein yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai

kaho mujh sy muhabbat hai
Mohabat ki tabiyat mein
yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai
Kh yh jitnii puranii jitnii bhi mazbot ho jay
Isay taieed e tazaa ki zarorat phr bhi rehti hay
Yaqin ki akhri hadoon tak diloon mein lehlahatii ho
Nigahon sy tapakti ho laho mein jagmagatii ho
Hazaroon tarh ky dilkash haseen halay banatii ho
esy izhar ky lafzon ki hajat phr bhi rehti hai
Mohabat mangtii hai yon gawahii apny hony ki
Kh jaisay tefl e sadah sham ko ek beij boay
Aur shab mein baarhaa uthay,Zameen ko khood kr dekhay
kh poda ab kahan tak hai?
Mohabat ki tabiyat mein ajab takrar ki khoo hai
Keh yh iqrar ky lafzon ko sun’nay sy nahi thakti
Becharnaay ki ghari ho ya koi milny ki saat ho
Esy bas aik hi dhun hai
Kaho mujh sy mohabat hai, Kaho mujh sy mohabat hai
Tumhain mujh sy mohabat hai
Samandar sy kahien gehri,sitaroon sy siwa roshan
hawaon ki terh daaim, Paharon ki terah qaaim
Zameen say aasman tak jis qadar achay nazaray hain
Mohabat ky kanaay hain wafa kay esta’aray hain
hamary hain
Hamary wasty yh chandni ratain sanwertii hain,sunehraa din nikalta hai
Mohabat jis tarf jay zamana sath chalta hai
Kuch aisi besakonii hai wafa ki sar zamenoon main
kh Jo ehl e mohabat ko sada bechain rakhtii hai
Kh jaisy phol main khushbo, Kh jaisy hath main paraa
Kh jaisy sham ka tara
Mohabat karny waloon ki sehar ratoon main rehti hai
Gumaan ky shakhchoon main aashiyaan banta hai ulfat ka
Yh aien wisl mein bhi hijr ky khadshon mein rehti hai
Mohabat ky musafirr zindagi jab kaat chukty hain
Thakan ki kirchiyaan chuntay wafa ki ajrakain pehny
Samy ki rahguzar ki aakhrii sarhad py rukty hain
To koi tobti sanson ki dori tham kar
Dhery sy kehta hai,Yeh sach hai na?
Hamari zindage ek dosry ky nam likhi the
Dhundalka saa jo aankhoon ky qareb o dur phela hai
Esi ka nam chahaat hai
Tumhain mujh sy mohabat thi,Tumhain mujh sy mohabat hai,
Mohabat ki tabiyat mein
yeh kaisa bachpana qudrat ny rakha hai



1 comment: