Sunday, October 3, 2010

GUZAR GAYA JO ZAMANA USEY BHULA HI DU,JO NAQSH NA BAN NAHI SAKTA USEY MITA HI DU

Guzar gya jo zamana usay bhula hi do
Jo naksh bun nahi skta isay mita hi do


Khulay ga tark-e-ta'aluk k baad baab-e-fana
Ye aik aakhri parda bi ab utha hi do
Ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand
Wafa kay dasht main hiraan kharay raahi do
Guzar raha hai jo lamha usay amar kar lain
Main apnay khoon se likhta hun tum gawahi do
Kisi tarah se tagaful ka baab-e-shak tou khulay
Nahi main pyar kay kabil tou kuch saza hi do
Main kainaat ko gham se nijaat de doon ga
Meri grift mai ik din agar tabahi do

No comments:

Post a Comment