Chalo sahil ja kar apni palkon se
Sunehra jaal buntay hain
Samndar main utar kar,seepion se
Kuch sureelay taal buntay hain
Chalo ab unglion ki narm poron se
Zara khushbu ko chuntay hain
Zara hum dard ko chootay hain,us ki baat suntay hain
Chalo sahil pe ja k.......
Gulaabon ki kanwari patio par shabnami moti
Chamak uthtay hain lahzay ko
Magar phir bujh bi jatay hain
Keh dasht-e-arzoo ki rait ankhon main khatakti hai
Rro pehli chand ki kirno ko muthi beech bnd kar k
Hawaon se bi saaton sur churatay hain
Chalo mitti ka ik chota sa dono ghar banatay hain
Ghari bhar ko sahi par khul k dono muskratay hain
Jo likhay ja chukay hain pathron par, khushk patton par
Wo mah-o-saal gintay hain
Chalo saahil pe ja k raishmi palko se.......
No comments:
Post a Comment