Thursday, September 30, 2010

Tinka tinka aas behr-a-aashiyaan chunta raha,



Tinka tinka aas behr-a-aashiyaan chunta raha,
Zindigee kee rakh say chingariyaan chunta raha.


Yeh mayree musbit ravi thee ya mayree majbooriyaan,
Khamiyoon kay dher say kutch khoobiyaan chunta raha.

Kis qadar mashroot to nay ker dya ehd-a-wafa,
Surkhiyoon ko bhool ker bareekiyaan chunta raha.

Mausam-a-gul barha aaya magar deewana pun,
Gulshan-a-ummeed say mayoosiyaan chunta raha.

Shairana hee sahee, hain to yeh bay perwahiyaan,
Hoshmandoon kay liyay mudhoshiyaan chunta raha.

Janta tha kya hoa, hya ho raha hai, phir bhee mein,
Aazadiyaan dayta raha pabundiyaan chunta raha.

Sub yahan per ba khaber thay, mein hee ik anjaan tha,
Aagahee kay shoor mein khamooshiyaan chunta raha.

Waqf ker dee'n mein nay sari nurmiyaan tayray liyay,
Aur khud apnay liyay mein sakhtiyaan chunta raha.

Der tak mein bhee Qamar os kay chalay janay kay baad,
Aahatain, sargoshiyaan aur siskiyaan chunta raha.

No comments:

Post a Comment