Monday, September 27, 2010

JO KUCH DEKHA JO SOCHA HA WOHI TEHREER KAR JAIN

Jo kuch daikha jo socha hai wohi tehreer kar jaen!
Jo kaaghaz apnay hissay ka hai wo kaaghaz tou bhar jaen!

Nashay main neend kay taaray bhi ik doojay par girtay hain
Thakan rston ki kehti hai chalo ab apnay ghar jaen
Kuch aisi be hisi ki dhund si pheli hai ankhon main
Hamari sooratain daikhain tou aaenay bhi dar jaen
Na himmat hai ganeem-e-wakt se ankhain milanay ki
Na dil main hosla itn kay mtti main uttar jaen
Gul-e-umeed ki soorat tere baaghon main rehtay hain
Koi mousam hamain bhi dai k apni baat kar jaen
Deyaar-e-dasht main raig-e-rawan jin ko banati hai
Bata ae manzil-e-hasti k wo rstay kidhar jaen
Tou kya ae qasim-e-ashya yehi ankhon ki qismat hai
Agar khawabon se khaali hon tou pachtawon se bhar jaen
Jo bakhshish main milay amjadtou us khushbu se behtar hai
K us be faiz gulshan se bandhi muthi guzar jaen

No comments:

Post a Comment