Yehi boht hai k dil us ko dhoond laya Kisi k sath sahi wo nazar tou aya
Karun shikayatain,takta rahun k pyar karun Gai bahar ki soorat wo laut aya hai Wo saamnay tha magar ye yaqeen na ata tha Wo aap hai k meri khawahishon ka saaya hai Aazab dhoop k kaisay hain baarishain kya hain Fasel-e-jisam giri jab tou samajh aya Main kya karun ga agar wo na mil saka amjad Abhi abhi meray dil main khayal aya hai
No comments:
Post a Comment