Wednesday, August 4, 2010

Yaad Piya ki Anay Lagi


YAAD PIYA KI AANE LAGI
Udaas baithee huwee tanha

Soch mein par jati houn
Aksar mein yun hi,...
youn lagta hai
yadoo k bhanwar mein phas jati houn,
OR sochti houn
Kia mein wo hi larki houn,
Jis ki sansoun se phoool kabhi mehaktee they,
Jis ki muskaan pe sikhian naaz karti thein,
Yeh beete dinoo ki baat hai.

K.....ek din youn howaa,
Mere angan mein bahar chali aai
Aik ajeeb sakoon mehsoos hone laga
Dil ki beqarar bhar janee lagi
Ankhein sharam se sir jhukanee lagien
Sakhiaan bateein banane lagien
OR mein.........
Pallo mein chehra chupanee lagi
Baat had se bhar janee lagi
Husan pe nazakat aane lagi
Yeh un dinoun ki baat hai....

Jub phool mere liyee khiltee they,
Pirandee nagma sarai kartee they,
Chaman mein meri hi batien huwa karti thein,
Sumandar ki lehree betabi se uchalti thein
Fizaien mehki mehki thein, 
Hawaien mehki mehki thein,
Youn lag raha tha,......... k waqt thahar gaya ha....
Ashiana Khushiyoun se bhar gaya hai..
Magar......Ek din youn howa
Zindagi apnee joban per rawan thi....
K achank
Chirriyoun ki chehchahat gidh ki awaz min badal gai,
OR mein ...... andar se hil gai..
Khawab chaknaa choor huweee
Kismat k hathoun majboor howeee
Umeed hathoun mein dam toor gai
Goyaa...........
Sheshee ki tarah choor hui.........
Manzil mujh se door hui
Chal larkharranee lagi
Andar hi andar mar janee lagi
Nazakat toot kar bikharne lagi
Yaad gehree zahm laganee lagi,
Chashm askhoun se bhar janee lagi

OR.......YAAD PIYA KI AANE LAGI
Phir.... bachpan ki Sitam Zareefi yaad ai mujhee
Jub reet ka ghar banati thi
Khoob nannee hathoun se sajati thi
Khud hi man-o-an mar jati thi,
Daikh kar ghantoun dil behlati thi
Itnee mein taiz hawa chalnee lagti
OR mein ghabranee lagti
Phir zoor se hawa ka jhonka aata
GHAR toot kar bikhar jaata
Manzar ankhoun se no dikha jaata,
OR apni qismat pe roona aata,
yeh to kheil tamasha thaa
Mein dakhoun ko apnee pi gai
Youn hi kai baras ji gai.........

Jawani mein qismat phir meharban hui
Mein bhi.......kisi ki hoi...
Yahan qismat ne dia phir dhookha
Jub tha meri Khushiyun ka mooqa,
Roote roote saktee mein gai
OR halat bighartee bigharti gai,
Phir....... mein roi ji bhar k
Thaam lia Khud ko himmat kar k,
OR phir dil ki baat samajh aai mujhee
ko ab mein na boloun gi
dukhrrey kisi se na pholoun gi
DIL HI DIL MEIN RO LOUN GI
OR MEETHI NEEND SO LOUN GI.....by Falak, From Ishq Bina Behal Hua

No comments:

Post a Comment