Khud apnay liay baith kay sochain gay kisi din Youn hai k tujhe bhool k daikhain gay kisi din
Bhatkay huay phirtay hain kai lafz jo dil main Dunya ne diya waqt tou likhain gay kisi din Hul jaen gay ik baar tou arshon k dar-o-baam Ye khaak nasheen log jo bolain gay kisi din Aapis ki kisi baat ka milta hi nahi waqt Har baar ye kehte hain k baithain gay kisi din Ae jaan teri yad kay be nam parinday Shaakhon pe meri dard ki utrain gay kisi din Jati hai kisi jheel ki gehrai kahan tak Aankhon main teri dhoob kar daikhain gay kisi din Khushbu se bhari shaam main jugnoo k qalam se IK nazam teray wastay likhain gay kisi din Soen gay teri aankh ki khalwat main kisi din Saaey mai teri zulf kay jagain gay kisi din Khushbu ki tara masl-e-saba khak numa say Galion say teri shahar ki guzrain gay kisi din Amjad hay yehi ab k kafan baandh k sar say Is shaher-e-sitam gar may jaayen gay kisi din
No comments:
Post a Comment