Tuesday, August 10, 2010

KIYA BEET GAEE DEAS PE SELAB K HATHON



KIYA BEET GAEE DEAS PE SELAB K HATHON
KESAY KOI IS KARAB KO ALFAZ MEIN LIKHAY
INSAN BHI,FASLEIN BHI,MAWESHI BHI,MAKAN BHI
HER CHEEZ BHIKHRAY HOWAY HAI PANI K HAWALAY


SEHMAY HOWAY LOGON PE MAKANON KI CHATHON PER
EK TEIG NAEY KHOUF KI SO BAR GIRI HAI
KYA HASHAR HOWA HAI K ANDHERAY MEIN ACHANAK
HAMSAEY PE HAMSAEY KI DEEWAR GIRI HAI

KYA BEET GAEE UN PE JINHEIN RAAZ NA AEIN
PANI SAY UKHERTAY HOWAY PAERON KI PANA HEIN
KYA JANIYEH SELAB K TUFAN-E-BALA MEIN
KISS WAQT WAHAN DOOB GAEIN KIS KI KARAEIN

NEECHAY HAI JO SELAB TO UPER HEIN GHATAEIN
BADLI HAI WO DUNIYA K FALAK HAI NA ZAMEEN HAI
JISS SIMT BHI DEKHO TO NAZAR ATA HAI PANI
AUR PYAS BHUJANI HO TO AIK BHUND NAHI HAI

RAFTAR HAI SELAB KI ANDHI KI TERHAN TEIZ
DERYA HEIN K DHERTI KI TARAF DHOR PARAY HEIN
A`HISTA-O-KAM KAM HAI WAQAT KI RAFTAR
RATEIN BHI MUSEEBAT KI BARI`DIN BHI BARAY HEIN

A`AO K AB US HASTI-E-BARTER KO PUKARIEN
WO JISS K SIWA KOI "KHUDA WAND" NAHI HAI
HAI JISS KA YEH AELAN K DERWAZA-E-TAUBAH
TAUFEEQ-E-NIDAMAT K LIYEH BAND NAHI HAI

No comments:

Post a Comment