Tuesday, March 1, 2011

Dil e Maan Thehar Abhi Dour hain


Dil-e-man theher,abhi door hain
Sabhi manzilein,sabhi raaste



Abhi na tamaam hain marhale
Koi hum rakaab hua naheen
Abhi khaawb,khaawb hua naheen
Hue lafz mere raqam kahan
Keh hunar kitaab hua naheen
Koi hum nafas,koi khoob-roo
Meri chashm-e-tar mein utar to le
Koi naqsh dil pe ubhar to le
Koi rang sham-e-visaal ka
Koi nor subh-e-jamaal ka
Rah-e-zindagi se guzar to le
Abhi fitna gar hain,shikasta roo
Woh musafatein jo na tai huein
Dil-e-man theher keh hawa chale
To zameen ka rizq bahaal ho
Koi ranj ho na malaal ho
Wahan baadshahoon ka sar jhuke
Jahan koi dast-e-swaal ho
(Raja Ishaq)

1 comment: