Saturday, March 19, 2011

Aa gaya tha daam mein,jab Main sayaad kay

\
Aa gaya tha daam mein,jab Main sayaad kay
Chal rahay thay toofaa'n mann mein baaraa'n-o-baad kay


Mar'maree'n badan tha us ka reshmi pairhann mein,
Gaisu thay shamsheer ki maanind mere sayaad kay

Dasht-e-zulmat mein para hoon khud hi se rooth kar
Pannay palat raha hoon, tanhaai mein uski yaad kay

Is qadar naa aashna tha wo meri soch se shayd
Mujhe sunata tha qissay wo khyaalon mein tazaad kay

Ussay maloom tha main sitaron par yaqee'n nahi rakhta
Mujhay dikhata tha phir bhi, wo khail kuch a'adaad kay

Wo khamosh muhabbat hi SAGAR, meri barbaadi ka sab'ab thehri
afshaa kar deta main kaash ahwaal dil-e-na'shaad kay

Adrees Sagar....

No comments:

Post a Comment