By Sohail Anwar. Please send your designed poetry at sohailanwar2050@gmail.com to publish.
Wednesday, November 3, 2010
Tooth kar lamha lamha bikharta raha,
***Ghazal****
Tooth kar lamha lamha bikharta raha,
Koi tanhaa hi bus aahein bharta raha,
Raz-e-dil kia kahoun razdaan hi nahi
Umr bhar is haqeeqat se bachta raha,
So gaee aasman per sitaree sabhi
Raat bhar koi tanhaa tarapta raha,
Gum ki chadar na oorhi oorah di gai
Umr bhar Khoouf se jis k darta raha,
Tehra aabad wo sher-e-agyaar mein
Mein Falak pyaar mein jis k marta raha
by Falak, from "ISHQ BINA BE HAL HUA"
Labels:
Falak Sher Zaman
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment