Tuesday, November 30, 2010

Na Uljho Na Uljaao Mere Duniya Main a Jao



Mashwara


Suno Ahmed,
Tumhein Ek Mashwara Hay,
Maan Lo Agar,
Bus Umeed Chor Do,
Kabhi Dekha Hay Kiya Tum Ne?
K Aag Aur Paani Kahi'N Par Saath Rehty Ho'N?
Kabhi Dekha Hay Kiya Tum Ne?
Mehfil Aur Veeraani,
Kahi'N Par Saath Rehty Ho'N?
Kabhi Dekha Hay Kiya Tum Ne?
Aqalmandi Aur Naadaani
Kahi'N Par Saath Rehty Ho'N?
Kabhi Dekha Hay Kiya Tum Ne?
Koi Mazdoor Aur Raani
Kahi'N Par Saath Rehty Ho'N?
Mujhay Pata Hay Ke Tum Ne Nahi Dekha Aisa,
Esliye Maan Lo Merri Aur,
Umeed Chor Do,
Tumhara Mashwara Acha Hay Lekin,
Kia Karu'N K Mein,
Sab Jaan Kar Ajnaan Bana Raha Rehta Hun,
Mujhay Malooom Hay Do Mukhtalif Cheezein,
Kabhi Bhi Mil Nahi Saktien,
Lekin Phir Bhi Jaaney Kyo'N?
Mera Dil Maanta Nahi K Teri Baat Maan Lo'N,
Tumhein Ye To Pata Hay K, Aag Aur Paani ,
Mehfil Aur Veeraaani, Aqalmandi Nadaani,
Koi Mazdoor Aur Raani, Kabhi Ek Ho Nahi Saktey,
Magar Shayad Tmhein Ye Elm Nahi,
Ke Meri Dunya Hi Aur Hay,
Meri Dunya Mein Aagg Paani Hay,
Aqalmandi Hi Naadaani Hay,
Aur Mehfil Hi Veeraaani Hay,
Tumhein Ek Mashwara Mera Bhi Hay,
Na Uljho Aur Na Uljhao,
Meri Dunya Mein Aa Jao....!!!!
(Ahmed Hassaan)

No comments:

Post a Comment