By Sohail Anwar. Please send your designed poetry at sohailanwar2050@gmail.com to publish.
Tuesday, November 2, 2010
Hai daastan ajab koi aashna hi nahi
***Ghazal***
Hai daastan ajab koi aashna hi nahi
Mein jis k wastee tarpoun usee pata hi nahi,
Banaya tha bhari mushqil se aashian mil kar,
Nagar hai ujraa k koi makan sa hi nahi
Hamaree ashk bhi biktee they mool heeroun k,
Wo johri tha magar us ka kuch pata hi nahi,
Mujhee yeh zeest liyee ja rahi hai kis janb,
Rukee rukee se qadam hein magar ruka hi nahi,
Mein but k tukroun mien sakat sa ho gaya houn Falak,
Yeh kaisa houn hai, badan mein jo doorrta hi nahi,
by Falak, from "ISHQ BINA BE HAL HUA"
Labels:
Falak Sher Zaman
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment