Adal Bheer main ik ajnabi ka samna acha laga Sab se chup kar wo kisi ka daikhna acha laga
Surmai aankhon k neechay phool se khilnay lagay Kehtay kehtay kuch kisi ka sochna acha laga Baat tou kuch bhi nahi thi lekin us ka aik dum Hath ka honton pe rakh kar rokna acha laga Chaay main cheeni milaana us ghari bhaya boht Zair-e-lub wo muskrata, shukria acha laga Dil main kitnay ehad baandhay thay bhulanay k liay Wo mila tou sab iraaday torna acha laga Us adooay jaan ko amjad main bura kaisay kahoon Jub bhi aya samnay wo bewafa acha laga
No comments:
Post a Comment