Ab Meri Jaan Tum
Ham bahaaroN maiN miltay rahay mudatoN
ChaahatoN kay kaNwal
Dil ki jheeloN maiN khiltay rhay mudatoN
Waa nigaahoN se ham khwaab buntay rahay
Phool chuntay rahay
BaiTh kar sayaa-e-shaakh-e-gul kay talay
Har kali kay chataknay ki dhimi si aawaz suntay rahay
Pyaar kay raastay muskuraatay rahay
KhwaahishoN kay mahal ham banaatay rahay
Phir achaanak juda raastay ho gye
QurbataiN kho gyiN
Faasilay ho gye
Phir bahaaroN kay mosim maiN gul na khilay
Zakhm aisay milay
Jo kabhi na silay
Ham na tum se milay
Tum na ham se milay
Waqt kay saath mosim badaltay rahay
Tum hamaiN bhool kar muskuraatay rahay
Ham akailay tumhaiN yaad kartay rahay
Yaad ki aag maiN roz jaltay rahay
Aur phir meri jaaN
Waqt kay saath ham bhi badalatay gye
KhwaahishoN ko khud apni masalatay gye
Dil kay jazbaat dil maiN fanaa ho gye
Ham tere baed khood se juda ho gye
Phir tumhaari tarah be wafaa ho gye
Muskuraatay huway raastay …… aaNsuoN maiN badal bhi gye
Ham, khud apni lgaayi huwi aag maiN …….. kab kay jal bhi gye
Tum ne jo zehr ham ko diya tha………usay ….ham nigal bhi gye
KhwaahishoN kay mahal…….hasratoN kay mazaaroN maiN dhal bhi gye
Ab meri jaan tum
Laut aao tau kya !
Laut jaao Tau kya!
WARD BAZMI
No comments:
Post a Comment