Saturday, January 1, 2011

Basa lya tha jisa dil main dharkano ki terhan Na ban saka wo mera meri khwahishon ki tehran


basa lya tha jisa dil meN dharkano ki terhan
Na ban saka wo mira merii khwahishon ki tehran


chupa he koi samnder kaheen to ankhon meN
jo doob jati hen akcer ye sahiloon ki terhan

kabhi hamen bhi perha do nisab-e-ishq zara
nai ghazel likhen phir tum peh shaeroon ki terhan

naseeb ma then hamare jo hijraten her dum
sakooN bhi cheena gya hum sa maziloon ki terhan

shikayatoon peh hum apno ki gher ko choor aye
hen dushmano ma base Aa key doston ki terhan

abhi jawan he dil thori ashiqii ker len
badel na jay ye shoq aur adatoon ki terhan

bhare darkhton ki pat jher gawahi deh Amjed
bicherne wale hen sab musamoon ki terhan

No comments:

Post a Comment