By Sohail Anwar. Please send your designed poetry at sohailanwar2050@gmail.com to publish.
Saturday, December 25, 2010
Hum ne daikhee hein, sabhi aehd k insaan jaana
Hum ne daikhee hein, sabhi aehd k insaan jaana
Koi b shaikhs nahi, qablee peeman jaana
Toun nahi hai to bhalaa shehar ki ronaq kia hai
Sortee-e-dasht howa dil ka gulistan jaana,
De k dil kaisee karen dil ki numaish aakhr,
Shehar is dil ka agarchey howa veeran jaana
Hath mein hath dia hai to nibhaien ge sadaa
Mehrbaan zeest ka ho jayee jo imkaan jaana
Is qadar apnoun se begangi kab tak ae FALAK,
Hum tumharee apnee hein na ho aisee gurezan jaana
by Falak, from "ISHQ BINA BE HAL HUA" 1st Vol
Labels:
Falak Sher Zaman
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment