Aanchal aur badbaan Sahil par ik badbaan larki Sard hawa kay baazu thaamay
Geeli raitpe ghoom rahi hai Jaanay kis ko dhoond rahi hai Bin kajal,haikal aankhon se Khulay samandar kay seenay par Faraatay bharti kashti kay badbaan kay lehraanay ko Kis hairat se daikh rahi hai! Kis hasray se apna aanchal masal rahi hai!
No comments:
Post a Comment