Sunday, April 11, 2010

Kamal e zabat tu main khud b azmaoon gi, Main apney hathon sey us ki Dulhan sajon gi

Kamal e zabat tu main khud b azmaoon gi
Main apney hathon sey us ki Dulhan sajon gi



Supard kar k usey chandani k hathon main
Main apnay ghar k andheron main lout aon gi

Badan k qurb ko wo na samaj paye ga
Main dil main roan gi ankhon main muskuraon gi

Wo kya gaya k rafaqat k sarey lutf gay
Main kis sey roth sakon gi kis ko manaoon gi

Ab us ka fun tu kisi aur sey hoa mansoob
main kis ki nazam akeley main gungunaon gi

Wo ik rishta benaam b nahi lekin
Mian ab b us k isharon par sir jhukaon gi

Samahaton main ghanay jungle ki sahatain hain
Main ab kabi tere awaz na sun paon gi

Jawaz dhoond raha tha wo nai mohabbat k
Wo kah raha tha main usey Bhool jaon gi

By Parveen Shakir

Be a fan of Parveen Shakir on Facebook here

No comments:

Post a Comment