Monday, July 26, 2010

Lout Kar Jab Tere Koochay Sey Main Ruswaa Aya

Lout kar jab tere kochee se mein ruswaa aaya..
Mujh ko taqder-e-wafa kaish pe roona aaya, 

Mein ke niklaa tha akeela saree-e-maidan-e- talab,
Samnee mere yeh sansaar umadhta aaya,
Tishna kami na gai jaan b le kar uski,
Martee dam tak hum ko uska nahi hona aaya,
Apnee daman se hawaa daita hai sholoun ko jahan,
Raakh uranee mein mazaah isko Hamesha aaya,
Khud ko khawaboun ki saleeoboun per charhaya or phir,
Umer bhar na hum ko khawaboun se nikalnaa aaya,
Zindagi lai hai us rahe-e-tamnaa pe jahan,
Jeena aaya na humein dhang se marna aaya

by Falak

No comments:

Post a Comment